Bilal135 Posted October 4, 2014 Share Posted October 4, 2014 Asalam o Alaikum mere bhaiyo, aj meu ye tutorial is liye post kar raha hoon taake woh log jin ko MTA Server nahi banana aata, un ko MTA Server banane meu madad mile. Sab se pehle ap ko us folder meu jana hai jahan pe aap ne MTA save ki hoi hai. Phir ap ko jaana hai ''Server'' folder meu. Phir "mods'' meu.. Phir Deathmatch meu aur phir ACL meu.. ACL meu ap ko dhondna hai ''Admin'' group aur us meu ap ko add karna hai, aur phir ap ko save karna hai. Is ke baad ap ko mtaserver.conf meu jaana hai.... Phir ap ko ye line dhoondni hai, ye start meu hi hoti hai, Default MTA Server yahan par ap ko apney server ka name likhna hai aur phir ap ko save karna hai. Is ke baad ap ko wapis jaana hai , Multi Theft Auto > Server > MTA Server aur is ko start karna hai. Ap ka server ab onn hai!! Lekin abhi doosrey log ap key server ko nahi join kar sakte, is liye ap ko ''Port Forward" karna hai. Port Forward ke liye Web Browser meu ye likhiye "192.168.1.1" ye aik username aur password pooche ga, ap ne username ''admin'' likhna hai aur password ap ke router ke peeche likha ho ga. Login karne ke baad ap ko kuch aaisa dekhai de ga. (For PTCL) Phir ap ko jaana hai ''Advanced Setup > Nat > Virtual Servers > add" Phir ap ko kuch aisa dikhai de ga.... Ap ne phir in sab meu ye fill kar dena hai, Lekin ''Server IP Adress and Hostname" har kisi ka different hota hai, isi liye ap ko jaana ho ga MTA SA > Local Meu, phir ap apne server ko click kareu, aur ip dekheu. Woh ho ga kuch aise : mtasa://192.168.1.randomnumber:22003 Jese ke mera hai, mtasa://192.168.1.3:22003 Isi liye ap ko "Server IP Adress And Hostname" meu likhna hai: 192.168.1.Apka-host-number (Mera 3 tha) Phir ap ko press karna hai ''Save/Apply" aur phir ap ko MTA Server.exe meu jaa kar likhna hai "openports'' aur ap ko woh kehe ga Port 22126 is open, Port 22003 is open, Port 22005 is open, aur phir ap ke dost ap ke server ko ap ke public ip (http://www.whatismyip.com) se join kar paain gay!! Link to comment
Bilal135 Posted October 7, 2014 Author Share Posted October 7, 2014 Good job. Bohat bohat shukriya! Link to comment
Bilal135 Posted October 10, 2014 Author Share Posted October 10, 2014 Nice. (y) Thanks Link to comment
x96 Posted October 17, 2014 Share Posted October 17, 2014 Helpful tha, good job bhai. Link to comment
DomesticCat Posted October 17, 2014 Share Posted October 17, 2014 Wow! Gj DNA261, Acha tutorial tha! Link to comment
Bilal135 Posted October 17, 2014 Author Share Posted October 17, 2014 Helpful tha, good job bhai. Nice, great job bhai! Wow! Gj DNA261, Acha tutorial tha! Shukriya! Link to comment
MoeezKhan Posted October 19, 2014 Share Posted October 19, 2014 Bohat acha keep it up! Link to comment
Recommended Posts
Create an account or sign in to comment
You need to be a member in order to leave a comment
Create an account
Sign up for a new account in our community. It's easy!
Register a new accountSign in
Already have an account? Sign in here.
Sign In Now